Din mahine saalon ko yug mein badalte dekhta hoon
Is mitti se mere bauji ke kheton ki khusboo aati hai
Yeh dhoop meri maati ki thandi chaas yaad dilati hai
Yeh baaruish mere saawan ke jhoolon ko sang sang laati hai
Yeh sardi meri lodi ki aag sek kar jaati hai
Woh kehte hain yeh mera des nahin
Phir kyon mere des jaisa lagta hai?
Woh kehte hai main us jaisa nahin
Phir kyon mujh jaisa woh lagta hai?
Main kedi number 786 jail ki salakhon se bahar dekh ta hoon
sapno ke gawn se utri
ek nani pari ko dekh ta hoon
kehti hai khud ko Saamiya aur mujh ko Veer bulati hai
hai bilkul begani paar apno si zid woh karti hai
uski sachi baaton se phir jeene ko maan karta hai
uske kaasmon vado se kuch karne ko maan karta hai
Woh khete hai ko woh koi nahi teri
phir kyun mere liye dunya se woh larti hai
woh khwta hai ke mein us jaisa nahi
phir kyun mujh jaisi woh lagti hai
Main kedi number 786 jail ki salakhon se bahar dekh ta hoon
mere gawn ke raango mein lipti ek nayi Zaara ko dekhta hoon
Mere khwabon ko pura karte
khud ke khwab bhool chuki hai woh
mere logo ki sewa karte
apne logo ko chor chuki hai woh
uska daaman aab khushion se bharne ko jee karta hai
uske leya ek aur zindagi jeene ko jee karta hai
Woh khete hai ke mein, mera desh uska nahi
phir kyun mere ghar woh rehti hai
woh kehte hai ke mein us jaisa nahi
phir kyun mujh jaisi woh lagti hai
Main kedi number 786 jail ki salakhon se bahar dekh ta hoon
Comments
Post a Comment